Teri parchhaai mere ghar se
nahi jaati hai
Tu kahin ho mere andar se
nahi jaati hai
——
Aasmaan maine tujhe sar pe
utha rakha hai
Ye hai tohmat jo mere sar se
nahin jaati hai
——
Dukh to ye hai ke abhi apni
safein tirchhi hain
Ye buraai mere lashkar se
nahin jaati hai
——
Taj machhli ne safaai ka
pehen rakha hai
Gandgi hai ke samandar se
nahin jaati hai
——
Ek mulaakat ka jaadu ke
utarta hi nahin
Teri khushbhu meri chaadar se
nahin jaati hai
—————————————
तेरी परछाई मेरे घर से नहीं जाती है
तू कहीं हो मेरे अंदर से नहीं जाती है
——
आसमान मैंने तुझे सर पे उठा रखा है
ये है तोहमत जो मेरे सर से नहीं जाती है
——
दुःख तो ये है के अभी अपनी सफें तिरछी हैं
ये बुराई मेरे लश्कर से नहीं जाती है
——
ताज मछली ने सफाई का पेहेन रखा है
गंदगी है के समंदर से नहीं जाती है
——
एक मुलाक़ात का जादू के उतरता ही नहीं
तेरी खुशभु मेरी चादर से नहीं जाती है