Sula chuki thi ye duniya
thapak-thapak ke mujhe
Jaga diya teri paazeb ne
khanak ke mujhe
——
Koi bataaye ke main iska
kya ilaaj karu
Pareshaan karta hai ye dil
dhadak-dhadak ke mujhe
——
Main jab bhi aapki mehfil se
uthke jata hoon
Gale lagaati hai duniya
lapak-lapak ke mujhe
——
Taallukaat mein kaise
daraar padti hai
Bata diya kisi kamzarf ne
chhalak ke mujhe
——
Bahut si nazrein hamaari taraf
hain mehfil mein
Ishaara kar diya usne zara
sarak ke mujhe
—————————————
सुला चुकी थी ये दुनिया थापक-थापक के मुझे
जगा दिया तेरी पाज़ेब ने खनक के मुझे
——
कोई बताये के मैं इसका क्या इलाज करू
परेशान करता है ये दिल धड़क-धड़क के मुझे
——
मैं जब भी आपकी महफ़िल से उठके जाता हूँ
गले लगाती है दुनिया लपक-लपक के मुझे
——
ताल्लुकात में कैसे दरार पड़ती है
बता दिया किसी कमज़र्फ ने छलक के मुझे
——
बहुत सी नज़रें हमारी तरफ हैं महफ़िल में
इशारा कर दिया उसने ज़रा सरक के मुझे