Jihalaton ke andhere mita
ke laut aaya
Main aaj saari kitabein
jala ke laut aaya
——
Wo ab bhi rail me baithi
sisak rahi hogi
Main apna haath hawa mein
hila ke laut aaya
——
Khabar mili hai ke sona nikal
raha hai wahaan
Main jis zameen pe thokar
laga ke laut aaya
——
Wo chahta tha ke kaasa
khareed le mera
Main uske Taj ki qeemat
laga ke laut aaya
—————————————
जिहालतों के अँधेरे मिटा
के लौट आया
मैं आज साड़ी किताबें जला
के लौट आया
——
वो अब भी रेल में बैठी सिसक
रही होगी
मैं अपना हाथ हवा में हिला
के लौट आया
——
खबर मिली है के सोना निकल
रहा है वहाँ
मैं जिस ज़मीन पे ठोकर लगा
के लौट आया
——
वो चाहता था के कासा
खरीद ले मेरा
मैं उसके ताज की क़ीमत
लगा के लौट आया