Sabki pagdi ko hawaaon
mein uchhala jaaye
Sochta hoon koi akhbaar
nikaala jaaye
——
Peeke jo mast hain unse to
koi khauff nahin
Peeke jo hosh mein hain
unko sambhaala jaaye
——
Aasmaan hi nahin ek chaand
bhi rehta hai yahaan
Bhool kar bhi kabhi patthar
na uchhaala jaaye
——
Naye aewaan ki taamir
zaruri hai
Magar pehle hum logon ko
malbe se nikaala jaaye
—————————————
सबकी पगड़ी को हवाओं में उछाला जाए
सोचता हूँ कोई अखबार निकाला जाए
——
पिके जो मस्त हैं उनसे तो कोई खौफ्फ़ नहीं
पिके जो होश में हैं उनको संभाला जाए
——
आसमान ही नहीं एक चाँद भी रहता है यहां
भूल कर भी कभी पत्थर न उछाला जाए
——
नए एवं की तामीर ज़रूरी है
मगर पहले हम लोगों को मलबे
से निकाला जाए