Dr. Rahat Indori – Wo Ab Bhi Rail Mein Baithi Sisak Rahi Hogi

Dr. Rahat Indori – Wo Ab Bhi Rail Mein Baithi Sisak Rahi Hogi


Jihaalaton ke andhere mita

ke laut aaya

Main aaj saari kitaabein jala

ke laut aaya


——

Wo ab bhi rail mein baithi

sisak rahi hogi

Main apna haath hawa mein

hila ke laut aaya


——

Khabar mili hai ke sona nikal

raha hai wahaan

Main jis zameen pe thokar laga

ke laut aaya


——

Wo chaahta tha ke kaasa

khareed le mera

Main uske Taj ki keemat laga

ke laut aaya


—————————————

जिहालतों के अँधेरे मिटा के

लौट आया

मैं आज साड़ी किताबें जला के

लौट आया


——

वो अब भी रेल में बैठी सिसक

रही होगी

मैं अपना हाथ हवा में हिला के

लौट आया


——

खबर मिली है के सोना निकल

रहा है वहाँ

मैं जिस ज़मीन पे ठोकर लगा

के लौट आया


——

वो चाहता था के कासा खरीद

ले मेरा

मैं उसके ताज की कीमत लगा

के लौट आया
 

सम्बंधित टॉपिक्स

सदस्य ऑनलाइन

अभी कोई सदस्य ऑनलाइन नहीं हैं।

हाल के टॉपिक्स

फोरम के आँकड़े

टॉपिक्स
1,845
पोस्ट्स
1,884
सदस्य
242
नवीनतम सदस्य
Ashish jadhav
Back
Top