Dr. Rahat Indori – Main Aaj Saari Kitaabein Jala Ke Laut Aaya

Dr. Rahat Indori – Main Aaj Saari Kitaabein Jala Ke Laut Aaya


Jihalaton ke andhere mita

ke laut aaya

Main aaj saari kitaabein jala

ke laut aaya

——

Wo ab bhi rail mein baithi

sisak rahi hogi

Main apna haath hawa mein

hila ke laut aaya

——

Khabar mili hai ke sona nikal

raha hai wahaan

Main jis zameen pe thokar laga

ke laut aaya

——

Wo chahta tha ke kaasa

khareed le mera

Main uske taaj ki qeemat

laga ke laut aaya

—————————————

जिहालतों के अँधेरे मिटा के लौट आया

मैं आज साड़ी किताबें जला के लौट आया

——

वो अब भी रेल में बैठी सिसक रही होगी

मैं अपना हाथ हवा में हिला के लौट आया

——

खबर मिली है के सोना निकल रहा है वहाँ

मैं जिस ज़मीन पे ठोकर लगा के लौट आया

——

वो चाहता था के कासा खरीद ले मेरा

मैं उसके ताज की क़ीमत लगा के लौट आया
 

सम्बंधित टॉपिक्स

सदस्य ऑनलाइन

अभी कोई सदस्य ऑनलाइन नहीं हैं।

हाल के टॉपिक्स

फोरम के आँकड़े

टॉपिक्स
1,845
पोस्ट्स
1,883
सदस्य
237
नवीनतम सदस्य
sharif khan
Back
Top