Reality Gulzar Quotes on Life to Understand Life and People

कमाल है बिखरे सब अंदर से हैं यहाँ और सँवार जिस्म को रहे हैं|
Kamaal Hai Bikhare Sab Andar Se Hai Yahan Aur Sanwaar Sab Jism Ko Rahe Hai.

तंग नहीं करते हम उन्हें आज कल ये बात भी उन्हें तंग करती है|
Tang Nhi Karte Unhe Hum Aaj Kal Ye Baat Bhi Unhein Tang Karti Hai.

मैंने अपनी जिंदगी के सारे महंगे सबक सस्ते लोगों से ही सीखे हैं।


मैंने अपनी जिंदगी के सारे महंगे सबक सस्ते लोगों से ही सीखें हैं|
Maine Apni Jindagi ke Saare Mahenge Sabak Saste Logon Se Hi Seekhein Hain.

हमेशा इतने छोटे बनो की हर व्यक्ति तुम्हारे साथ बैठ सके,
और अपने कामों से इतना बड़ा बनो की जब तुम खड़े हो तो कोई बैठा न रहे|
Hamesha Itne Chote Bano Ki Har Vyakti Tumhare Sath Baith Sake,
Aur Apne Kaamo Se Itna Badaa Bano ki Jab Tum Khade Ho To Koi Batha Na Rahe.


माना की जिंदगी में दिक्कतें कम नहीं पर कम से कम जीने को जिंदगी है क्या यही काफी नही।
Mana Ki Jindagi Mein Dikkatein Kam Nhi Par Kam se kam Jeene ko Jindagi Hai Kya Yahi Kaafi Nahin.

जिंदगी ख़तम हो जाती है लोगों की पर लोग जीना शुरू नहीं कर पाते।


जिंदगी ख़तम हो जाती है लोगों की पर लोग जीना शुरू नहीं कर पाते।
Jindagi Khatam Ho Jaati Hai Logon Ki Par Log Jeena Shuru Nahin Kar Paate.

आइना जब भी उठाया करो पहले देखो फिर दिखाया करो|
Aaina Jab Bhi Uthaya Karo Pahle Dekho Fir Dikhaya Karo.

पलट कर जवाब देना बेशक गलत बक है लेकिन सुनते रहो तो लोग बोलने की हदें भूल जाते हैं|
Palat Kar Jawab Dena Beshak Galat Baak Hai, Lekin Sunte Raho To Log Bolne Ki Hadein Bhool Jatein Hain.

जो शिकायत नहीं करते दर्द उन्हें भी होता है|
Jo Shikayat Nahin Karte Dard Unhe Bhi Hota Hai.

जिसे "मैं" की हवा लगी उसे फिर न दवा लगी न दुआ लगी|
Jise Main Ki Hawa Lagi Use Na Dawa Lagi Na Dua Lagi.

कोई आपका हक़ तो छीन सकता है पर कोई आपके हक़ का नहीं छीन सकता
Koi Aapka Hak To CHheen Sakta hai, Par Koi Aapke Hak ka Nahin Chheen Sakta.

होंठों पे मुस्कान थी कंधो पे बस्ता था, सुकून के मामले में वो जमाना सस्ता था।
Hontho Pe Muskan Thi, Kandhon pe Basta Tha,
Sukun ke Mamle me Wo Jamana Sasta Tha.

मैं हर रात सारी ख्वाहिशों को खुद से पहले सुला देता,
हूँ मगर रोज़ सुबह ये मुझसे पहले जाग जाती है।
Main Har Raat Saaree Khvaahishon Ko Khud Se Pahale Sula Deta,
Hoon Magar Roz Subah Ye Mujhase Pahale Jaag Jaatee Hai.

मिलता तो बहुत कुछ है इस ज़िन्दगी में,
बस हम गिनती उसी की करते है जो हासिल ना हो सका।
Milata To Bahut Kuch Hai Is Zindagi Mein,
Bas Ham Ginatee Usi Ki Karate Hai Jo Haasil Na Ho Saka.


जब भी ये दिल उदास होता है,
जाने कौन दिल के पास होता है।
Jab Bhi Ye Dil Udaas Hota Hai,
Jaane Kaun Dil Ke Paas Hota Hai.

दिन कुछ ऐसे गुज़ारता है कोई
जैसे एहसान #उतारता है कोई।
Din Kuchh Aise Guzaarata Hai
Koyi Jaise Ehasaan #Utaarata Hai Koyi.

इतना क्यों सिखाई जा रही हो जिंदगी
हमें कौन से सदिया गुजारनी है यहां ।
Itana Kyon Sikhayi Ja Rahi Ho Jindagi
Hamein Kaun Se Sadiya Gujaaranee Hai Yahaan.

“Zulf mein phansi hui khol denge baaliyaan.
Kaan khinch jaaye agar, Kha lein meethi gaaliyan.”

“Tere jaane se toh kucch badla nahin.
Raat bhi aayi thi aur chand bhi tha.
Haan magar…neend nahin.”

“Aane wala pal jane wala hai.
Ho sake toh isme, Zindagi bita do,
Pal jo yeh jaane wala hai.”

“Dil mein kuch jalta hai, Shayad dhuan dhuan sa lagta hai.
Aankh mein kuch Chubhta hai, Shayad sapna koi sulagta hai.”

“Aaina dekh kar Tasalli hui, Hamko is ghar mein jaanta hai koi.”

“Milta toh bahut kucch hai Iss Zindagi Mein. Bas hum Ginti usi ki karte hain, Jo haasil na ho saka.”

“Umr Kehti hai, Ab Sanjeeda hua jaaye, Dil Kehta hai, Kucch Nadaaniyaan aur sahi.”

“Aisi uljhi nazar unse hatt ti nahi,
Daant se reshmi dor katt ti nahi.
Umra kab ki baras ke safaid ho gayi;
Kaari badari jawani ki chattti nahi.”

“Shart lagi hai mar jaane ki
Jeena hai toh pyaar mein
Deh kahin bhi ho mera
Jaan rakhi hai yaar mein.”

“Jeene ke liye socha hi nahi. Dard sambhalne honge.
Muskuraaye toh muskuraane ke Karz utarne honge.”

“Taqleef khud hi kam ho gayi, Jab apno se umeed kam ho gayi.”

“Bahut andar tak jalaa deti hai, Woh shikaayatein jo bayaan nahi hoti.”

“Manzilein se Gumrah kar deta hain kucch Log.
Har kisi se Raasta poochna accha nahi hota.”

“Aaj ki raat yun thami si hai, Aaj phir aapki kami si hai.”

“Main uske roop ka shehdaai,
Vo dhoop chhanv se harjaai,
Vo shokh hai rang badalta hai,
Main rangroop ka saudaai.”

“Aansu jo rukne lage hain.
Aankhon mein chubhne lage hain
Naya dard do koi, toh ro lein.”

“Dil hain to phir dard hoga, Dard hai toh dil bhi hoga, Mausam guzarte rehte hain.”

“Waqt rehta nahi kahin tik kar, Aadat iss ki bhi aadmi si hain.”

“Mein har raat sari Khwahishon ko khud se pehle sula deta hun,
Magar roz subah yeh mujhse pehle jaag jaati hain.”

“Bahut mushkil se karta hoon, Teri Yaadon ka Karobaar. Munafa kam hai, Par Guzara ho hi jaata hai.”

“Naraaz humse khusiyaan hi hoti hai, Gamaon ke itne Nakhre nahi hote.”

“Lagta hai Zindagi Kucch Khafa Hai.
Chaliye Chhodiye, Kaunsi Pehli Dafa Hai.”

“Socha na tha zindagi aise.
Phir se milegi, jeene ke liye.
Aankhon ko pyaas lagegi,
Apne hi aansu peene ke liye.”

“Ae Zindagi, gale laga le.
Hum ne bhi tere har ik gham ko,
Gale se lagaya hai na.”

“Kaun kehta hai hum jhooth nahi bolte, Ek baar khairiyat toh pooch ke dekhiye.”

“Thoda sa rafoo karke dekhiye na, Fir se Nayi si lagegi. Zindagi hi toh hai.”

“Saath saath ghoomte hain Hum dono raat bhar… Log mujhe Aawara, Aur usey Chand kehte hain.”

“Kucch alag karna hai toh Bheed se hatt ke chaliye.
Bheed sahas toh deti hai, Magar Pehchan cheen leti hai.”

“Jhoothe tere waadon pe baras bitaaye.
Zindagi toh kaati, Ye raat kat jaaye.”

“Tere bina zindagi se koi Shiqwa toh nahi.
Tere bina zindagi bhi lekin, Zindagi toh nahi.”

“Kabhi toh chaunk ke dekhe koi hamari taraf,
Kisi ki aank mein humko bhi intezaar dikhe.”

“Humne akshar tumhari raahon mein ruk ruk kar apna hi intezaar kiya.”

“Maut, tu ek kavita hai, EK kavita ka waada hai, Ek din milegi mujhe.”

“Thoda hai thode ki zarurat hai, Zindagi phir bhi yahaan Khoobsurat hai.”

“Woh bulandi kis kaam ki janaab, Insaan chadey aur Ins
 
मॉडरेटर द्वारा पिछला संपादन:

सम्बंधित टॉपिक्स

सदस्य ऑनलाइन

अभी कोई सदस्य ऑनलाइन नहीं हैं।

हाल के टॉपिक्स

फोरम के आँकड़े

टॉपिक्स
1,845
पोस्ट्स
1,886
सदस्य
242
नवीनतम सदस्य
Ashish jadhav
Back
Top