- Movie : Kaagaz
- Song : Poetry Of Kaagaz
- Singer : Salman Khan
- Lyrics : Aseem Ahmed Abbasee
- Music : Rahul Zain
- Label : Salman Khan Film
Poetry Of Kaagaz Lyrics
Kuchh nahi hai, Magar hai sab kuchh bhiKya ajab cheez hai ye kaagaz bhi
Baarishon mein naav kaagaz ki
Sardiyon mein aalav kaagaz ki
Aasman mein patang kaagaz ki
Saari duniya mein jang kaagaz ki
Kabhi akhbaar, Kabhi khat kaagaz
Roj marrah ki zarurat kaagaz
Aane jaane ki sahulat kaagaz
Jeene marne ki izajat kaagaz
Pyaar ki chitthiyan bhi kaagaz ki
Kaam ki arziyaan bhi kaagaz ki
Jashn mein jhandiya bhi kaagaz ki
Jism ki mandiyan bhi kaagaz ki
Bane naato ka bhi gawaah: Kaagaz
Kahin shaadi, Kahin niqaah : Kaagaz
Kahin talak ki gunaah : Kaagaz
Banaaye aur kare tabaah : Kaagaz
Not kaagaz, Kitaab hai kaagaz
Sabki aankhon ka khwaab hai kaagaz
Mazhabon ka hisaab hai kaagaz
Raham kaagaz, Ajaab hai kaagaz
Chheen le khet, Ghar, Zami, kaagaz
Ponche aankho ki bhi nami kaagaz
Har jagah youn hai laazmi kaagaz
Jaise ghar ka hai Aadmi kaagaz
Kuchh nah hai, Magar hai sab kuchh bhi
Kya ajab cheez hai ye kaagaz bhi