किसी भी मोबाइल नम्बर की कॉल डिटेल्स कैसे निकाले (call details online)

Hello friends kese ho aap sbhi ummid krta hu aap sbhi ache honge Friends Aapne internet par kahi baar search kiya hoga ki hum kisi bhi number ki call details kese nikal skte hai ,phone call log,ya fir call history kese pata karte hai par aapko inke baare me jo tricks mile honge unme maximum tricks work nhi krte hai.

Agr aap bhi kisi aise hi tricks ki khoj kar rhe hai jisse aap kisi bhi number ki call history check kar ske ya fir jise trikcs ka use krke aap kisi bhi number ki call details,sms details,data information etc. check kar ske to aap bilkul sahi post par aa chuke hai.

Friends is post me hum aaj aapko jo tricks btane vale hai us tricks ka use krke aap jio ke number ki call history ya call details pata kar skte hai.Iske liye aapke pass vo mobile hona jruri hai jiski call details aap pata krna chahte hai kyuki ek baar aapko us mobile se otp lena hai or apne phone me use otp ka use krna pdega tbhi jaake aap us number ki call history pata kar skte hai.


Dosto ab agr aap aapke pass vo mobile hai jiski aap call details dekhna chahte hai ya fir aap us phone ka otp prapt kar skte hai to chaliye is tricks ki or aage bdhte hai.Yaha par hum aapko puri jankari step by step btane vale hai jisse aap bhut aasani se smjh skte hai.

1. Sbse phle aapko apne mobile me my jio app install krna hoga uske baad aap apne mobile number se usme login kar lenge login krna koi muskil kaam nhi hai iske liye my jio aap open krna hai or uske baad aap number automatic usme aa jaayega uske baad aapke phone me otp aayega to use enter krna hai uske baad aapka account my jio aap me login ho jaayega.

2. My jio app me login karne ke baad aapke saamne Link new account ka option aayega to aap us option paar click krenge.

3.Link new account par click krna hai uske baad aapke saamne 4 option aayenge mobile,jiofi,jiofiber,jiolink to inme aapko sbse phle vala Mobile vala option select krna hai.

4. Uske baad aapke saamne nya page open hoga usme aapko vo jio number enter krne hai jinki call history ya call details aap pata krna chahte hai.number enter krne ke baad aap generate otp par click krenge.

5.Generate otp par click krne ke baad us mobile number par ek otp aayega to aapko vo otp yaha par enter krna pdega.to aap us phone se otp pata krke jio app me enter krenge.Uske baad submit button par click krenge.

6. Number ko add krne ke baad aap switch account par click krenge or us number se jio app me login kar lenege. uske baad aapko Left side me upar kone me three lines milenge to aap un par click krenge uske baad aapke saamne bhut saare option aayenge to yaha par aapko thoda niche ki or jana hai to yaha par aapko my statement ka option milega.To app my statement par click krnege.

7. My statement par click krne ke baad aapko date select krne ki jrurt pdegi yaha par aap ek baar me maximum 30 din ki call details pata kar skte hai.Date set krne ke baad aap view now par click krenge.

8. uske baad aapko right side me kone me download ka mark dikhega to aap us par click karenge uske baad aapke saamne 3 option aayenge Download statement,Email statement or Cancel.To yaha par aap download statement par click krke call details ko download kar skte hai uske baad aap us pdf file ko open krke usme puri call details dekh skte hai.
 
मॉडरेटर द्वारा पिछला संपादन:

सम्बंधित टॉपिक्स

सदस्य ऑनलाइन

अभी कोई सदस्य ऑनलाइन नहीं हैं।

हाल के टॉपिक्स

फोरम के आँकड़े

टॉपिक्स
1,845
पोस्ट्स
1,886
सदस्य
242
नवीनतम सदस्य
Ashish jadhav
Back
Top