Islamic Shayari In Hindi | इस्लामिक शायरी

मेरी औकात से ज़्यादा तूने मुझे दिया है या रब
तू लाख मुश्किलों में भी डाल दे मुझे तुझ पर भरोसा है

Meri Aukaat Se Jyada Tune Mujhe Diya Hai Ya Rab
Tu Laakh Mushkilon Me Bhi Daal De Mujhe Tujh Par Bharosa Hai

मेरे अश्को से तू अपना दामन साफ कर
अकेले तड़पता हूँ ऐ खुदा इन्साफ कर

Mere Ashqo Se Tu Apna Daman Saaf Kar
Akele Tadapata Hu Ae Khuda Insaaf Kar

मत रख इतनी नफ़रतें अपने दिल में ए इंसान
जिस दिल में नफरत होती है उस दिल में रब नहीं बसता

Mat Rakh Itni Nafratein Apne Dil Me Ae Insaan
Jis Dil Me Nafrat Hoti Hai Us Dil Me Rab Nahi Basta

धागा ही समझ, तू अपनी “मन्नत” का मुझे
तेरी दुआओ के मुकम्मल होने का दस्तूर हूँ मैं

Dhaaga Hi Samajh, Tu Apni “Mannat’ Ka Mujhe
Teri Duaao Ke Mukammal Hone Ka Dastoor Hu Mai


करते है आज भी वफादारी हम उस वतन से
जिस वतन की खुश्बू का ज़िक्र मेरे आक़ा करते है

Karte Hai Aaj Bhi Wafadaari Hum Us Watan Se
Jis Watan Ki Khusbu Ka Zikr Mere Aaka Karte Hai

दूर हैं नमाज़ों से, आरज़ू है जन्नत की,
जो मिला दे मन्ज़िल से वो पता नहीं लेते

Door Hai Namazon Se, Aarju Hai Jannat Ki
Jo Mila De Mazil Se Wo Pata Nahi Lete

मुल्क लुट जाएगा ये आसार नज़र आते हैं
अब हुकूमत में सब मक्कार नज़र आते हैं

Mulk Lut Jayega Ye Asaar Nazar Aate Jai
Ab Huqumat Me San Makkar Nazar Aate Hai

Thodi Si Ibaadat Bahut Sa Sila Deti Hai
Gulab Ki Taraha Chehra Khila Deti Hai
Allah Ki Yaad Ko Dil Se Jane Na Dena
Kabhi Kabhi Choti Si Dua Arsh Hila Deti Hai

Be-Zubanon Ko Jub Wo Zaban Deta Hai,
Parhne Ko Phir Wo Quraan Deta Hai,
Bakhshne Pe Aye Jub Ummat K Gunahon Ko,
Tohfe Mai Gunahgaron Ko Ramzan Deta Hai

मुझे मालूम क्या वो राज़-दाँ तेरा है या मेरा
मोहम्मद भी तिरा जिबरील भी क़ुरआन भी तेरा-Allama Iqbal

Hamara Har Kaam Asaan Hoga,
Jis Din Ka Pehla Kaam Namaz Hoga

Tum Yahan Meri Ibadat Kia Karo,
Main Qabar Mein Tumhari Hifazat Kia Karunga

Jisne Sukh Mein Apne Rab Ka Shukar Adaa Kia,
Ussne Dukh Mein Apne Rab Ko Apne Kareeb Paaya

Nahi Mayoos Apne Allah Se,
Badal Jaati Hai Kismat Dua Se

Kitna Sukoon Deta Hai Uss Jagah Beth Ke Rona
Jahan Allah Ke Siwa Koi Sun’ne Wala Na Ho

Insaan Ko Bedar Tu Ho Leny Do
Hr Quom Pukry Gyi Humary Hain Hussain

Teri Raah Guzaar Main Kadaam Kadaam
Kahin Arsh Hay Kahin Toor Hay

Hussain Tum Nhi Rahy Tumhra Ghar Nhi Raha
Mgr Tumhary Baad Zalmoon Ka Daar Nhi Rha

Jis Ka Dil Khuda Ke Khuf Se Khali Ho
Us Ka Ghar Rehmaton Se Nhi Bhar Sakta

Yeh Bata Tujh Sy Miloon Kahaan
Mujhy Tujh Sy Milna Zarur Hay

Islamic Dua Shayari​

Mat kar khaak k putley pe gharoor-0-beniazi itni…
Khud ko khudi mein jhaank kr dekh tujh mein rakha kya hai

Rashq karta hai falak aesi zameen par,
Jispe do chaar gharri zikr e khuda hota hai..

Karam jab Aaall-e-Nabi ka shareek hota hai,
Bigar bigar ke har kaam theek hota hai..

Roz gunaah karta hu’n, woh chupata hai Apni Rehmat se,
Mein majboor apni Aadat se, woh mash’hoor Apni Rehmat se…

Khudaa ko aik mantey hain lekin,
Khudaa ki aik tak nahin mantey..

Hawaa khilaaf thi lekin chiraag bhi khoob jala,
Khuda bhi apne honey ke kya kya saboot deta hai..


Islamic Shayari In Hindi | इस्लामिक शायरी​

Wohi rakhe ga mere ghar ko balaaon se mehfooz,
Jo shajjar se ghaunslaa girne nahin deta..

Yu’n to syed bhi ho, mirza bhi ho, afghan bhi ho,
Tum sabhi kuch ho, bataao to musalmaan bhi ho

Ajeeb Faiz Hai Aaqa (SAW) Apki Muhabbat Ka,
Durood Aap Pay Parhu’n Aur Khud Sanwar Jaaun.

Youn to rehmat hy teri, Teray ghazab py haavi,
Phir bhi Mehshar men khudaya mera Parda rakhna..

Islamic Sher -o- Shayari​

Na afsos hai tujhe sahab na koi sharmindagi hai,
Guzar rahi hai jo gunaahon mein yeh kesi zindagi hai..

Meray Bachpan Ke Din Bhi Kya Khoob The,
Be-Namazi Bhi Tha Aur Be-Gunah Bhi…

Bachay bhi Ghareebi ko Samjhny lagay hain Shayed,
Ab Jaag bhi jaatay hain toh Sehhri Nahi Khatay…!

Is Khaak Ko Hidayat De Maula,
Uss Khaak Mein Milny Se Pehle..

Nahin mein mohtaaj dunya ka ik tere siwa Ya Rab,
Mere sajde kabool karle meri saans ke tootne se pehle..

Khuda k waste mujhko khuda hi rahne do…
Mazhab k naam par logon mere tukde na karo..

Islamic Shayari In Urdu​

لب پہ آتی ہے دُعا بن کے تمنا میری
زندگی شمع کی صورت ہو خدایا میری

بنا کر فقیروں کا ہم بھیس غالبؔ
تماشائے اہلِ کرم دیکھتے ہیں

قتل حسین اصل میں مرگِ یزید ہے
اسلام زندہ ہوتا ہے ہر کربلا کے بعد

نازکی اس کے لب کی کیا کہیے
پنکھڑی اک گلاب کی سی ہے

خودی کا سر نہاں لا الہ الا اللہ
خودی ہے تیغ فساں لا الہ الا اللہ

دامن پہ کوئی چھینٹ نہ خنجر پہ کوئی داغ
تم قتل کرو ہو کہ کرامات کرو ہو

Zarurat torr deti hey guroor-o-bay-niyazi ko
No hoti koi majboori to har banda Khuda hota

Khuda ko bhool gaye log fikr-e-rozi mein
Talash rizq ki hey aur Raziq ka khayal nahi

Pehle kacchi thi masjidein lekin pakke the musalmaan
ab pakki hai masjidein aur kacche hai musalman

Mein faqeeron se bhi kerta hoon tijarat aksar
Jo ek paisay mein laakhon ki dua detay hain

Na sharm na haya na muhabbat diloan mein hai
Insaniyat sharminda hai is dour ka insaan ko dekh ker

Baat sajdon ki nahi khuloos-e-niyat ki hoti hey Iqbal
Aksar log khali hath lout aatay hain har namaz kay baad

Jin kay aangan mein ameeri ka shajar lagta hey
Un ka har aib zamanay ko hunar lagta hey

Sajda Khaliq ko bhi iblees se yaarana bhi
Hashr mein kis se aqeedat ka sila maangay ga

Hansi aati hey mujhay hazrat-e-insaan per
Amal karay khud aur lanat bhejta hey shaytan per

Teray sajday kaheen tujhay kafir na ker dein Aey Insaan
Tu jhukta kaheen aur hey aur sochta kaheen aur

Dil pak nahi tou pak ho sakta nahi insaan
Warna iblees ko bhi aatay thay wuzu kay faraiz bohat

Kaabah-o-Quraan ko jo dekha hey ghilaf mein liptay
Ab mein samjha hoon kay perday ki fazeelat kiya hey

Teray aamaal se hey tera pareshan hona
Warna mushkil nahi mushkil aasaan hona
Dona aalam per hukumat ho teri aey musalman
Tu samajh jaye agar apna musalman hona

peene de masjid mein baithkar
ya woh jagah bata jahan khuda nahi

Masjid Khuda ka ghar hey peenay ki jagah nahi
Kafir kay dil mein ja wahan per Khuda nahi
 
मॉडरेटर द्वारा पिछला संपादन:

सम्बंधित टॉपिक्स

सदस्य ऑनलाइन

अभी कोई सदस्य ऑनलाइन नहीं हैं।

हाल के टॉपिक्स

फोरम के आँकड़े

टॉपिक्स
1,845
पोस्ट्स
1,886
सदस्य
242
नवीनतम सदस्य
Ashish jadhav
Back
Top